KITAAB-US-SHU’FA – 36

36. KITAAB-US-SHU’FA

(1) BAAB : SHU’FA IS JAYEDAD MEIN HOGA JISKI TAQSEEM NA HUYI HO, JAB HADBANDI HO GAYI TO PHIR SHU’FA NAHI

۞ Hazrat Jabir bin Abdullah r.a. se riwayat hai, unhone kaha ke Nabi ﷺ ne Shu’fe ke mutalliq faisla farmaya ke yeh is shakal me ho sakta hai jabke jayedad taqseem na huyi ho lekin jab hadbandi ho jaaye aur raaste badal diye jaayen to phir Shu’fa nahi hoga.

Sahih al-Bukhari, 2257.
Vol. 2, Book 36, Hadith 2257.

(2) BAAB : FAROKHT SE PAHLE SHU’FA KO SAHIB-E-SHU’FA PAR PESH KARNA

Hazrat Hakam bayaan karte hain ke jab farokht karne se pahle Shu’fa karne wala use farokht karne ki ijazat de de to phir (baad mein) wo Shu’fa nahi kar sakta.

Imaam Saibi ne kaha ke jab Shu’fa farokht kiya jaaye aur wo farokht ke waqt maujood ho lekin is par koi aiteraz na kare to ise bhi Shu’fe ka haqq nahi hai.

۞ Hazrat Umro Bin Shareed se riwayat hai, unhone kaha ke mai Hazrat Sa’ad Bin Abi Waqaas r.a. ke paas khada tha ke Hazrat Miswar Bin Makhrama r.a. aaye aur unhone apna ek haath mere kandhe par rakha. Itne me Hazrat Abu Raafey r.a. jo Nabi ﷺ ke azaad karda the aur kaha : Aaye Sa’ad ! Tum mere dono makaan jo tumhare mohalle me waqay hain, mujhse khareed lo. Hazrat Sa’ad r.a. ne farmaya : Allah ki kasam ! Mai to nahi khareedta. Hazrat Miswar r.a. ne kaha : Allah ki kasam tumhe yeh makaan khareedna hoga. Tab Hazrat Sa’ad r.a. ne kaha : Mai tumhe chaar (4) hazaar (dirham) se zyada nahi dunga aur wo bhi bila qisaat adayegi karunga. Hazrat Abu Raafey r.a. ne kaha : Mujhe to in gharon ke  paanch (5) Sad dinaar milte hain, agar maine Rasool Allah ﷺ ko yeh farmate na suna hota ke “Padosi apne kurb ki wajah se zyada haqqdar hai” to main tumhe chaar (4) hazaar dirham me hargiz na deta khususan jab ke mujhe paanch (5) sad dinaar mil rahe hain. Bil Aakhir inhone wo dono makaan Hazrat Sa’ad r.a. hi ko de diye.

Sahih al-Bukhari, 2258.
Vol. 2, Book 36, Hadith 2258.

(3) BAAB : KAUN SA HUM SAYA ZYADA HAQDAAR HAI ?

۞ Hazrat Ayesha r.a. se riwayat hai, unhone kaha : Allah ke Rasool ! Mere do (2) padosi hain, Un mein se pahle kis ko tohfa bheju ? Aap ne farmaya : “Jiska darwaza tum se zyada kareeb ho.”

Sahih al-Bukhari, 2259.
Vol. 2, Book 36, Hadith 2259.